Tuesday, July 3, 2007

Zindagi jeena sikh liya hai maine

Tut te pal me hasna sikh liya
Gehre Gham me muskurana sikh liya
Ab zindagi shayad zyada muskhil nahi
Jab GHAM ke pyale ko hi pina sikh liya

Logo par bharosa kam karna sikh liya hai maine
Dosto se umeede kam rakhna sikh liya hai maine
Ab zindagi shayad zyada muskhil nahi
Jab Apne aap se jo Dosti ki hai
Usme hi khush rehna sikh liya hai maine

Ab kisiko na dundna sikh liya hai maine
Ab kisiko na chahna sikh liya hai maine
Ab zindagi shayad zyada muskhil nahi jab
kisi ki yaado me na rona
bikul bhi na rona sikha liya hai hai maine

Sikhte Sikhte ache logo ko pehchan na sikha hai maine
Sikhte Sikhte muskil me majje karna bhi sikh liya hai maine
Ab zindagi shayad zyada muskhil nahi

Kyunki ki
Shayad Zindagi jeena sikh liya hai maine

--Kiran Hegde

No comments:

Post a Comment

Please feel free and let me know what you think! Keep coming back!!